Beraham aasman meri manzil bata hai kahan?

Jo na socha tha wo ho gaya kyun nasib mera so gaya
gham ki aisi ghata chha gai chain dil ka kahin kho gaya
ye bata kis liye le raha hai mera imtehan:(
Bujh gaya hai ye dil is tarah chaand pichle pahar jis tarah
itni taareekiyon main bata raah dhoonde koi kis tarah
kho gai manzlen ho gaya gum kahin carvaan:(
Ja rahe hain na jane kidhar dekh sakti nahin kuch nazar
chhor dena o manjhdaar main kis kinaare lage kya khabar
kya karen door tak roshni ka nahin hai nishan:(
Mujh se qismat ne dhoka kia her qadam per naya gham dia
hai khushi ki qasam ke yahan chain ka saanr tak na lia
bujh gaya dil mera raas aaya na tera jahan:(
Teri duniya main yun hum jiye aansuwon ke samandar piye
dil main shikwe tadpte rahe hont lekin humesha siye
kab talak hum rahen teri duniya main yun bezuban:(
Ab koi bhi tamana nahin ab yahan hum ko jeena nahin
zindagi ab tere jaam se ek qatra bhi peena nahin
mout ko bhej ke khatam kar de meri dastaan:(