Vic jo b kaha ap ne wo to hum nahi jante magar itna zaroor jante hain ke jo b ap ne kaha wo apki sis ko acha nahi laga
Aslam g famb abuser nai h

Aur woh hamara friend

Abuser ko miss

fir to humen b ban'na padega ab abuser

M esa kiya kaha sis ko Jo ap keh rahe ho esa q keh rahi ho

aslam g
Vic ji kabhi na kabhi to samjh hi jaogi agar ab nahi samjhi to

Vic farah se aisa kyun bol rahi ho ap?
Muhabat dairy hergiz nahin hai
jis main tum likho
ke kal,kis rang ke kapde pehnne koun si khushbu lagani hai
Kise kya baat kehni,koun si kis se chupani hai
Kahan,kis ped ke saaye tale milna hai
Mil kar poochna hai
Kya tumhain mujh se muhabat hai?
Ye farsooda sa jumla hai
magar phir bhi yehi jumla
Dareechon,aangnon,sadkon,gali koochon main chobaron main chobaron ki tooti seediyon main
Her jagah koi kisi se keh raha hai,
Kya tumhain mujh se muhabat hai
Muhabat dairy hergiz nahin hai
jis main tum likho
Tumhain kis waqt,kis se,kis jagah milna hai,kis ko chhod jana hai
Kahan per kis tarah ki guftagu karni hai ya khamosh rehna hai
kisi ke sath kitni door tak jana hai aur kab lout aana hai
kahan aankhen milana hai kahan palken jhukana hai
ya ye likho ke ab ki bar jab wo milne aayega
to uske haath apne haath main le kar
Dhanak chehre pe roshan,jagmagati raqs karti uski aankhon main utar jayenge
Aur phir gulshan-o- sehra ke beechon beech dil ki saltanat main khaak udaayenge boht mumkin hai wo ujlat main aaye
aur tum uska haath,haathon main na le pao
na aankhon hi main jhaanko aur na dil ki saltanat ko fatah kar pao
jahan per guftagu karni hai tum khamosh ho jao jahan khamosh rehna hai wahan tum bolte jao naye kapde pehn kar ghar se niklo,mele ho jao
koi khushu lagane ka irada ho to sheeshi haath se gir jaye
tum veeran ho jao
safar karne se pehle be saro saman ho jao
muhabat dairy hergiz nahin hai aab jo hai
jo dilon ke darmiyaan behti hai khushbu hai
kabhi palkon pe lehraye to aankhen hansne lagti hain
Jo aankhon main utar jaye to manzar aur pas manzar main shamen jalne lagti hain
kisi bhi rang ko chhoole
wohi dil ko gawara hai
kisi mitti main ghul jaye
wohi mitti sitara hai
Nai sis Ab koi zarorat nai
thankss
Nomi ne agar aisa kia hai na to usko maar maar kar hum nomi se ullu bana denge
