salaam kia chl rha hai dost?
salaam friend kia haal hai?
Apnay baaray mein aap ne kuch bataya nahi.
Wah Cantt ka mosam kesa hay? Aap kay haan to mosam in dinon mein thanda hee hota hay. Sunao thand ziyada hay ya mosam theek hee hay?
Isha kay waqt mulaqat hogi. Allah Hafiz.
Zabardast qisam ki machliyan yahan Keamari mein hoti hain. Basti (lala rukh, Wah) mein bhi aap ne fish khai hogi lekin Keamari ki baat hee kuch aur hay.
Shoaib, aap se isha kay waqt baat hogi, abhi main kaheen ja raha hoon, Keamari kay samander se machliyan pakarni hain. Aap address day do to aap ko bhi bhaij doon ga.
Ya phir Basti se Hasanabdal kay dermian koi jagah hay aap ki??
Wah Cantt mein kahan rehtay hain aap? Shareef Hospital, Wah Model Town Phase I, II, Bahtar Morr, Miskeenabad, Jameelabad, Chachi Muhalla, Nawababad??