kya khel kismat ne sang mere khela hai

naba N

acha hai kuch bhi khao bas pet bharna chahiye

:$

:$
toh kya khati hai ??

main theek hu khana khali

tune khayi??

ALLAH Ta'ala Ne Musalmano K Liye Sirf 2 Eid K Din Muqarar Kiye Hen,
1 EID UL FITAR
2 EID UL AZHA
Aj Kal Jo 3rd Eid Logn Ne Ijaad Ki He Jise EID MILAD'UN NABI Ka Name Diya Gaya He,
Is 3rd Eid Ki Dalil Na ALLAH Ne Quran Me Nazil Kia He,
Or Na Hi Nabi Salallahu Alaih Wasalam Ne Is Eid K Bare Me Farmaya He.
Or Jis Chez Ki Asal Quran o Hadis Me Na Ho Dalil Na Ho Sabot Na Ho To Use Deen Me Biddat Kehte Hen,
Yani Ye 3rd Eid Biddat He,
SO PLZ STOP THIS.
A+A
H1385/J3@S BUKHARI:
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya k,
Allah ko woh aml buhat ziyadah pasand he jo hamesha (with regularity and punctuality) kiya jaae, chaahe kam ho.
Aur Aap SAWW ne farmaya k,
unhi aemaal ki paabandi karo jin ki tumhen taaqat he.
A+A
H1385/J3@S BUKHARI:
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya k,
Allah ko woh aml buhat ziyadah pasand he jo hamesha (with regularity and punctuality) kiya jaae, chaahe kam ho.
Aur Aap SAWW ne farmaya k,
unhi aemaal ki paabandi karo jin ki tumhen taaqat he.
A+A
H1377/J3@S BUKHARI
AL-RAQAAQ;
Ans bin Maalik R.A se riwaayat he k men naheen jaanta k,
Aap SAWW ne patli roti(chapaati) dekhi thi, yahan tak k Aap SAWW, ALLAH se jaa mile, aur na Aap SAWW ne apni aankhon se bhuni hui bakri kabhi dekhi thi.
H1378/J3.
Hazrat Aaisha R.A se riwaayat he k ham logon ko aag jalaa'ae huae aek aek maheena guzar jaata tha, sirf khajooren aur paani istaemaal karte the, magar yeh k thorra sa gosht ham logon k paas aa jaata tha to us ko paka lete the.
H1380/J3@S BUKHARI.
Aap SAWW ne dua ki k Ae Allah, Aale Muhammed ko Quwat laa yamoot de(yaeni sirf itna jis se un ka guzar ho sake).
A+A
H1374/J3@S BUKHARI
AL-RAQAAQ;
Hazrat Aaisha R.A se riwaayat he k Aap SAWW ki Aal ne ser ho kar teen raat mutwaatir gehon ki roti naheen khaa'ee, jab se k Aap SAWW madina tashreef laa'ae, yahaan tak k Aap SAWW ki wafaat ho gaee.
H1375/J3@S BUKHARI
Hazrat Aaisha R.A se riwaayat he k Aale Muhammed SAWW ne kisi din do khaane naheen khaa'ee, magar yeh k aek waqt chhoohaare hote the.
H1376/J3@S BUKHARI
Hazrat Aaisha R.A se riwaayat he k Aap SAWW ka bistar chamrre ka tha, jin k andar khajoor ki chhaal bhari hui thi.
A+A
H1369/J3@S BUKHARI
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya k,
Mene jannat men jhaanka, to wahaan aksar gareeb log nazar aa'ae, aur jahnum men aksar auraton ko paaya.
A+A
H1367/J3@S BUKHARI
RAQAAQ;
Aek shakhs paas se guzra to, Aap SAWW ne paas bethe shakhs se farmaya k is shakhs k baare men tumhari kiya raa'ae he?
To us ne kaha yeh shurfa (ameeron) men se he. Yeh aadmi to ba-Khuda is laa'iq he, k agar nikaah ka pegaam bheje, to nikaah kiya jaae aur agar sifaarish kare to is ki sifaarish qabool ki jaa'ae. Aap SAWW yeh sun kar khaamosh rahe.
Phir aek shakhs Aap SAWW k paas se guzra to us k baare men poochha?
Us ne jawaab diya k faqeer musalmaanon men se he. Agar yeh pegaame nikaah bheje, to yeh is laa'iq naheen k is ko rishta diya jaae. Agar yeh sifaarish kare to is ki sifaarish qabool na ki jaae, aur agar woh koi baat kahe, to us ki baat bhi na suni jaae!
Aap SAWW ne farmaya, yeh shakhs saari duniya (k ameeron)se bahtar he.
H1366/J3@S BUKHARI
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya k,
maal w asbaab ki kasrat k sabab se tawangari naheen he, balke tawangari asl men dil ki tawangari he.
A+A
H1364/J3@S B
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya,
k mujhe achha naheen lagta k mere paas is Uhd pahaarr k baraabar sona ho, aur teen raat us men se, siwaa'ae us ke k jo qarz ada karne k liae ho, aek deenaar bhi mere paas rahe, balke men us ko Allah k bandon men is tarah aur is tarah kharch kar don.
A+A
H1363/J3@S B
AL-RAQAAQ;
Aap SAWW ne farmaya,
ziyadah maal waale qayaamat k din neki k aetbaar se muflis honge.
Magar woh shakhs jis ko Allah ne maal diya aur us ne apne daa'aen baa'aen, aage peechhe us ko kharch kiya, aur nek kaamon men us maal ko lagaaya to woh shakhs neki k aetbaar se bhi maaldaar hoga.