My guestbook (11006) Sign guestbook

Browse Pages:< Previous 475 476 477 478 479 480 481 Next > 
aslam94
13 years ago
Hum intzar karenge tera qayamat tak
khuda kare k qayamat ho aur tu aaye
saira63
13 years ago
humTHK HA.AP KAISE HO
saira63
13 years ago
walaikum salam
saira63
13 years ago
Beautyful Day Waiting 4U..
Walk With Aims..
Run With Confidence..
Fly With Your Achivements..
So..
Get Up..
Make Lovely Day..
Assalam O Alaikum..
GooD mORNINg..
Have A Nice Day
miku1989
13 years ago
salam :sun:
:sun:good morning :sun:
:sun: hv a nice day :sun:
:sun: tc :sun:
:sun: Yaha Mukammal nahi hoti saari umeede sabhi ki. Jaise umar kat jati ho intezar mai kisi ki.. A khudhaa tu bata de mjhe aaj itna tu… kyo likhi meri taqdeer aise.. Jaise ho an suni fariyaad kisi ki.. :sun:
aslam94
13 years ago
19@S17/A 31.
S Bani Isra'eel:
Exp:
Taareekh ka tajurbä bhi yahi bataatä he k duniyä k mukhtalif mulkon (countries) men khaane waali äbaadi jitni barr'hiti ga'ee he, utne hi, balke ka'ee baar us se buhat ziyaadä mu'äashi zarä'ae barr'hite chale ga'ae hen. Lihaazä Khudä k takhleeqi intizaamaat men insaan ki bejä dakhal andaaziyän himaaqat k siwä kuchh nahin hen.
Yeh usi taaleem kä nateejä he k Nuzoole-Quran k daor se lekar äj tak kisi daor men bhi musalmänon k andar nasal kushi ka koi äm riwaaj pedä nahin hone paayä.
A+A
aslam94
13 years ago
18@S17/A 31.
S Bani Isra'eel:
Apni aulaad ko muflisi (gurbat) k dar se qatal na karo. Ham unhen bhi rizq denge aur tumhen bhi. Dar'haqeeqat un ka qatal aek barra sakht gunaah he.
A 31.
Exp:
Iflaas ka khauf qadeem zamaane se qatale-atfaal aur isqaate hamal (abortion) ka sabab bana he, aur aaj woh teesre tareeqe, yaeni mana'a hamal (family planning) ki taraf duniya ko dhakel raha he.
Is ayat k zariyae insaan ko hidaayat ki jaati he, k woh khaane waalon ko ghataane ki takhreebi koshish chhorr kar, un ta'ameeri koshishon men apni quwaten (potential) aur qaabliyaten (abilities) istema'al karey jin se Allah k banaaye hue qaanone fitrat k mutaabiq rizq men afza'ish (izaafa) hua karti he.
A+A
aslam94
13 years ago
17@S17/A 30.
S Bani Isra'eel:
Tera Rab jis k liye chaahta he rizq kushaada karta he aur jis k liye chaahta he tang kar deta he. Woh apne bandon k haal se ba-khabar he aur unhen dekh raha he.
A30.
Exp:
Yaeni Allah Taala ne apne bandon k darmiyan rizq ki bakh'shish men kamo-besh ka jo farq rakha he insaan Us ki muslahiton ko nahin samajh sakta. Lihaaza taqseeme-rizq k fitri nizaam men insaan ko apni masnou'ee tadbeeron se dakhal andaaz na hona chaahiye
AA
aslam94
13 years ago
16@S17/A 29.
S Bani Isra'eel:
Na to apna haath gardan se baandh rakho aur na usae bilkul khula chhorr do k malaamat zada aur aa'jiz ban kar rah jaao.
A 29.
Exp:
Haath baandh rakhne se muraad bukhal (kanjoosi) he aur usae khula chhorr dene se muraad fuzool kharchi he. Is se ma'aloom hota he k logon ko na to bakheel ban kar dolat ki gardish ko rokna chaahiye aur na fuzool kharch ban kar apni muaashi taaqat ko zaa'yaah karna chaahiye. Balke un k andar itna aetdaal hona chaahiye k woh zaroori kharch se baaz bhi na rahen aur be-jaa (gaer zaroori) kharch ki kharaabiyon men mubtila bhi na hon.
Fakhar aur riya aur numa'ish k kharch, ayaashi aur tamaam aese kharch jo insaan ki haqeeqi zarooriyaat aur mufeed kaamon men sarf hone k baja'ae dolat ko galat raaston men bahaa den, dar asal Allah ki naemat ka kufraan he. Jo log is tarah apni dolat ko kharch karte hen woh shetaan k bha'ee hen.
A+A
aslam94
13 years ago
15@S17/A 28.
S Bani Isra'eel:
Agar unn ki (yaani haajat mand rishtedaaron, miskeenon aur musaafiron ki) tum khabar'geeri na kar sako is bina par k abhi tum Allah ki us rahmat ko jis k tum umeedwaar ho, talaash kar rahe ho, to unhen naram jawaab de do. A.28
Exp:
Agar aap kisi sawaali ka sawaal kisi wajah se poora naheen kar sakte to na karo leken us k saath bad- tameezi mat karo. Usae jhirrko (daanto) naheen, us ka mazaak na urraao.
Sawaali se hamesha narmi aur piyaar se baat karo.
A+A
aslam94
13 years ago
14@S17/A 25-27.
S Bani Isra'eel:
Tumhaara Rab khoob jaanta he k tumhare dilon men kiya he. Agar tum saalih ban kar raho to woh aese sab logon k liye darguzar karne waala he. Jo apne qusoor par mutnabah ho kar bandagi k rawiye ki taraf palat aa'aen.
Rishtedaar ko us ka haq do aur miskeen aur musaafir ko us ka haq. Fuzool kharchi na karo. Fuzool kharch log shetaan k bhai hen, aur shetaan apne Rab ka na shukra he.
A25-27.
A+A
aslam94
13 years ago
13@S17/A 23-24.
S Bani Isra'eel:
Exp: Cont:
Aulaad ko waalden ka muteea, farmaan bardaar, khizmat guzaar aur adab shanaas hona chaahiye.
Muaashre ka ijtimaaee ikhlaaq aesa hona chaahiye jo aulaad ko waalden se be niyaaz banaane waala na ho balk unn ka ihsaan mand aur unn k ihtaraam ka paaband bana'ae, aur bur'rhaape men usi tarah un ki khizmat karna sikha'ae jis tarah bachpan men woh us ki parwarish aur naaz bardaari kar chuke hen.
A+A
aslam94
13 years ago
12@S17/A 23-24.
S Bani Isra'eel.
Tere Rab ne fesla kar diya he k tum log kisi ki ibaadat na karo, magar sirf Us (Allah) ki. Waalden k saath nek sulouk karo, agar tumhare paas un men se koi aek, ya dono, boorr'he (old) ho kar rahen to unhen uff bhi na kaho, na unhen jhirrak kar jawaab do, balke un se ihtiraam k saath baat karo.
Aur narmi aur raham k saath un k saamine jhuk kar raho, aur dua kiya karo k
"Parvardigaar, inn par raham farma jis tarah inhoon ne rahmat wa shafqat k saath mujhe bachpan men paala tha".
A.23-24.
Exp:
Yaeni Allah k baad insaanon men sab se muqadam haq waalden ka he.
Conti.......
A+A
aslam94
13 years ago
11@S17/A 21-22.
S Bani Israeel.
Exp:
Yaani duniya parast log jo kuchh paate hen ziyaada tar zulm se, be-imaaniyon se, aur tarah tarah ki haraam khoriyon se paate hen. Woh maal-e-haraam ziyaada tar ayaashiyon aur haraam kaariyon aur tarah tarah k fasaad angez aur fitna khez kaamon men paani ki tarah bahaaya jaata he.
Aakhirat k talabgaar jo kuchh bhi paate hen, sadaaqat, diyaanat aur amaanat k saath paate hen. Aur wo us maal ko aetdaal k saath kharch karte hen.
Us men se haq daaron k huqooq ada karte hen, saa'il aur mahroom ka hisa bhi nikaalte hen aur Allah Taala ki khushnoudi k liae doosre nek kaamon par bhi maal kharch kiya jaata he.
Inhi cheezon ki wajah se aakhirat k talabgaaron ko duniya paraston par fazeelat di ga'ee he.
A+A
aslam94
13 years ago
10@S17/A 21-22.
S Bani Israeel.
Magar dekh lo, duniya hi men Ham ne aek giroh ko doosre par kesi fazeelat de rakhi he. Aur aakhirat men us k darje aur bhi ziyaada honge, aur us ki fazeelat aur bhi ziyaada barr'h charr'h kar hogi.
Tu Allah k saath koi doosra ma'abood na bana warna malaamat zada aur beyaar-w-madadgaar betha rah jaaega.
A 21-22.
A+A
aslam94
13 years ago
9@S17/A 20.
S Bani Israeel.
In ko bhi aur un ko bhi, donon fareeqon ko Ham (duniya men) saamaane-zeest diye ja rahe hen, ye tere Rab ka atiya he, aur tere Rab ki ataa ko rokne waala koi nahin he.
A 20.
Explaination:
Yaani dunya men rizq aur samaane-zindagi duniya paraston ko bhi mil raha he aur aakhirat k talab-gaaron ko bhi, atiya Allah hi ka he kisi aur ka naheen he. Na duniya paraston men yeh taaqat he k aakhirat k talab-gaaron ko rizq se mahroom karden, aur na aakhirat k talabgaar hi ye qudrat (taaqat) rakhte hen k duniya paraston tak Allah ki neamat na puhunchne den.
A+A
aslam94
13 years ago
8@S17/A 17-19.
S Bani Israeel.
Dekh lo, kitni hi naslen hen jo Nooh A.S k ba'ad Hamare Hukm se halaak hoeen. Tera Rab apne bandon k gunaahon se poori tarah baakhabar he aur sab kuchh dekh raha he.
Jo koi (is dunya men) jaldi haasil hone waale fa'idon ka khuwaahishmand ho, use Ham de dete hen jo kuchh bhi jise dena chaahen, phir uske maqsoom men jahanum likh dete hen jise woh taape ga malaamatzada aur rahmat se mahroom hokar. Aur jo aakhirat ka khwaahishmand ho aur us k liye koshish karey jesi k us k liae koshish karni chaahiye, aur ho woh momin, to aese har shakhs ki koshish maqbool hogi.
A17-19.
A+A
aslam94
13 years ago
7@S17/A 16.
S Bani Israeel.
Jab ham kisi basti ko halaak karne ka iraada karte hen to us k khush-haal logon ko hukum dete hen aur woh us men na-farmaaniyan karne lagte hen, tab azaab ka fesla us basti par chispaan ho jaata he aur ham usae barbaad karke rakh dete hen.
A 16.
Explaination:
Dolatmand aur saahib-e-iqtidaar log jab fahish-wa-fajoor, zulm-wa-sitam aur badkaariyon par utar aate hen tab yahi fitna poori qaum ko le doobta he.
A+A
aslam94
13 years ago
5@S17/A 15.
S Bani Israeel.
Explaination:
Har insaan apni aek mustaqil akhlaaqi zimedaari rakhta he aur apni shakhsi hesiyat men ALLAH TAALA k saamne jawaab daah he. Is zaati zimedaari men koi doosra shakhs us k saath shareek nahin he. Us ko jo kucch bhi jazaa ya sazaa milegi, us amal ki milegi jis ka woh khud apni infiraadi hesiyat men zimedaar saabit hoga.
Is liae aek aqalmand admi ko yeh naheen dekhna chaahiye k doosrey kiya kar rahe hen, balke usae har waqt is baat par nigaah rakhni chaahiye k woh khud kiya kar raha he. Agar usae apni zaati zimedaari ka sahih ehsaas hoga to doosre khuwaah kuchh bhi kar rahe hon, woh har haal men us tarze-amal par saabit qadam rahega jis ki jawaab dahi Khuda k huzoor wo kaamyabi k saath kar sakta ho.
A+A
aslam94
13 years ago
4@S17/A 15.
S Bani Israeel.
Jo koi raah-e-raast akhtiyar karey us ki raast ravi us k apne hi liae mufeed he, aur jo gumraah ho us ki gumraahi ka wabaal usi par he. Koi bojh uthaane waala doosre ka bojh na uthaaega.
A 15.
Explaination:
......(in next message)...
A+A
Browse Pages:< Previous 475 476 477 478 479 480 481 Next > 
Contact Us | Blog | Translation | Terms of Use | Privacy Policy

沪ICP备06061508号
Copyright © 2006 OwnSkin.com    
-
Loading content
There is a problem with loading the content.